Kishore Kumar Hits

Khayek - Azaadi şarkı sözleri

Sanatçı: Khayek

albüm: Narak


Aansoo chupaaye palke hai nam
Darta hu khudse me tere bina
Tujh bin kaise jeena? Kaise Jeena
Tere bin kaise jeena
Ab toh me marne laga hu
Yahan kaise jeena
Azaadi bin yeh seekha, yeh seekha
Ab thoda chalna hai yahan seekha
Ab toh me ladne laga hu, Yahan kaise jeena
Thode din pehle story daali, mujhe padi gaali
Kehte neta ji ki sunta ni? Neta muh khole, tapke baimaani
Wo netagiri kare, wo apni baat ka ni, aankh kaani
Dhundla hai dikhta rasta bhi
Tum apna socho, wo apne baap ka ni
Khade ho ke jalaaye, baat raaz ki nahi
Ab media bhi saab ka hai aap ka nahi, AAP ka nahi
Darta nahi me kisi ke baap se
Marke bhi bolu jalti laash se
Putle jalaado mere, me khada barsaat me
Wo azaadi wali aas me
Jeeyun kaise? Me tere bina
Darta hu me khudse hi, ki lelu na me apni jaan haan yahan
Chaashni tu thi zehar ki me yeh samjha nahi
Khaab lag chuke na jaane tujhko kyu jagah di
Pyaas is kadar jo thi lagi thi is zehar ki peeta mein yeh gaya
Zindagi se maano hat chuka tha mera kaabu
Nasheeli thi nigaahein, chal chuka tha tera jaadu
Kaid pinjre me jaan kar bhi fir bhi dhoondu tere dil ka pata
Tu aas paas hoti jab toh mera dum ghuta
Azaad cheel hu mein aasma mera jahaan
Is fareb ko mein naam deta pyaar ka
Teri hasrato se waqif hu mein dilruba
Hai jaam haath me khayaal tera aaye na
Gum nashe me taaki yaad teri aayein na
Kaisi yeh ghadi jo waqt hi btaaye na
Sama yeh beet jaata, tujhko ye bhulaaye na
Aansoo chupaaye palke hai nam
Darta hu khudse me tere bina
Azaadi bin kaise jeena? Kaise jeena
Azaadi bin kaise jeena
Ab toh me marne laga hu
Yahan kaise jeena

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar