Sapne bht brhe they meri okaat se Me Mara jata inhi halaton k hath se Maa sune gaaney wo khush Meri Art se Mein Sch kaho toh Maa ne Pala brhe laad se Me jesa likhta ho wesa houn bhi Mere irado k age dha jaega Toh bhi Phone bnd ab me nhi rkhta ab rabtey Aj taali peetein kl tk jalne walo me se ap they Pareshan me Khasta makaan me Maa ki duaein Khuda k Hifz o Aman me Wo Pasbaan he wo Pasbaan tha Mere irado ko wohi behter janta Esa lagne laga tha muskilein Meri taak mein Me us din jaga jis din dekha anso Baap ki ankh mei Khaak se khaak mein, aag se raakh mein Me Ghr se nikla krne mushkilo k khatme Kafir ko roote dekha Safer per nikle hoe Musafir ko khote dekha Toh kese mjhe aeinge phr yaad sage Dekha zamana Apno ko apne dobote dekha Josh e jawani ki ghlti ka Hisaab kaha Maa mjhe boli beta bnna tumhe baap sa Per me khud me khud ka idol Me khud ko ainey me dekho bolun koi nhi he apsa Joshe jawani me ki ghltian sudharo Zindagi ek race he me ese kese haaron Me likhat me bhi dechuka houn maa ko K maa fikr na ker me aane ane wala star houn Kbhi Jeet lagey kbhi lage haar bhi Koshishoun se hojate Hein berhe paar bhi Mene Qalam uthaya tha yehi soch k K yeh duniya bht peeche Meri soch se Kch dete gali Kch dete hate bhi Kch mare taali Toh Kch krte hein relate bhi Hum bar bar toot k udaas they Nadanio me Ghalat chuney rastey Hum sb hi K hi ek jese haal they Hum sb hi dill me kch sawal they Aye Zindagi tjhse Brhe gille mjhe K Zindagi me hoe bht malal they Hustle ki hai Mene Hassad nhi ki bhai Sultan janta he I never lie Naseeb se mile savage Umar shareh jese bhai So fuck the competition chorho Kon kis se high Bilawajah me in muhskilo ka bojh lo Isse axha me koi dosra jism khojlo Ya soch lo mjhme kitne aib they Me toota hoa mola gheib se hi madad bhejde ♪ Tootey hoey ab wo madad Bheje gheib se Kbhi kbhi shok bhari prhe jeib pe Duniya khush hoti mere her ek aib se Toh bhi hansle mjhpe Agr Tjhe Zeib de Dua e maghfirat me betha jinhe kho k Yeh smjh aya Kch nhi milega Qaber pe roo k Sath wale Brhe Bhai dost hokey Gher sath chle sage dere dhoke Duaon se Toh thum jate hein Toofan bhi Meri kamiyabi se hote heran bhi Nhi laga wafa ki Umeed insan se Bin Mafaad Toh Laut te nhi girdan bhi Hn urooj per tha pehle zawal mera Hn Sahi suna Khasta tha bht haal mera Yeh muskilein bhi bht Kch sikhati hein Kisne kaha he duaein rang nhi latein Hein Lambi hein ghum ki shaamein mgr shaam hein Humne, Jana he us kinare jaha lehre bhi nakaam hein Wo hi maqam tha wohi maqam hai Me ab bhi wohi houn agr bdla toh woh yeh jahan hai Wo Maqam tha ab bhi wo Maqam hai Jana he us kinare jaha lehre bhi nakaam hein