Kishore Kumar Hits

JANI - Cry on Cue Please şarkı sözleri

Sanatçı: JANI

albüm: Cry on Cue Please


Yeah
Zindagi guzar rahe the par ab kaat rahe hein
Aap munfarid hein jabhi hume yaad rahe hein
Lut liye gaye sareamm sheher mein
Hum bhi toh munafiqo me wafa bant rahe hein
Apni aziyaton par ghor ker
Hai meri kefiyat kuch or par
Khade zindagi ke mod par
Yun ghum ka makaan humse 2 gali chorr kar
Sath me laye kya they? Khone ka sawal kya?
So fucked up mat poch pursaney haal kiya?
Mange sahara, ehsas se nidhaal tha
Ek rooh 2 jism jeena mahal tha
Likhey jo khat tujhe (Likhey jo khat)
Ab lage khudko hi likhdi saza-e-maut
Guzarni hi hume na thi, yeh zindagi ek saza he dost
Barbaad kar bethe khudo yuun
Intezar mein tum laut aye toh
Anjaan ho toh batadein yeh jo tum kargaye ho dagha he wo
Hum karwate badlein raat bhar
Kyun chalta nahi maut ka zoor
Kardo ehsan meri iss zaat per
Kehdo inn yaadon ko dhondein ab koi aur
Tooti tasweer teri, bikhra saman mera
Kare dil me qayam toh mehman mera
Karo dil se ada me yeh ehsan tera
Ab bhi usi gali me maujud he maqaan mera
Isi kashamakash me adha hou aise kya
Darya me dooba or piyasa hun kaise?
Batata hun aise ke sab kuch bhala he
Par ander hi ander sab uljha pada he
Dil me gada he
Teri yaadon ka soula is dil me gada he
Shikwa bada hai
Tum milne nahi aaye yeh shikwa bada he
Likhey jo khat tujhe, ab lage khudko hi likhdi saza-e-maut
Guzarni hi hume na thi, yeh zindagi ek saza he dost
Barbaad kar bethe khudo intezar mein tum laut aye toh
Anjaan ho toh batadein yeh jo tum kargaye ho dagha he wo
Hum karwate badlein raat bhar
Kyun chalta nahi maut ka zoor
Kardo ehsan meri iss zaat per
Kehdo inn yaadon ko dhondein ab koi aur

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar