Kishore Kumar Hits

Siyaahi - Zaalim şarkı sözleri

Sanatçı: Siyaahi

albüm: Zaalim


Dastoor zindagi ka
Das majboor kare dooor rehna sikhaa
Deta das bahane jese dutt sahab ka ladka
Mai das log se door tabhi toh gaane likh raha
Yeh har raat ka nateeja
Tu neendon mein dekh raha tha sapne
Mai kisi ka banna chahta ek sapna
Ladke bura matt lagana Par hunar ko khaa jaata dhanda
Aise chaalon mein na fasna
Haan mana lamba thoda rasta
Han mana scene mein har koi hype ko tarasta
Kese banalu mai gaane jab kandhe pe bhari hai basta
Fees dete college mein padhta kyu rap mera baccha
Dad bole nadaan sambhal jaa
Bhar jayega pet aur khush hoga dil jab batwe mein aayegi tankha
Kehta hai mera tajurba
Artist ka career hai chota karega kya jab tu 35 ka hoga
Mai bola hali nahi socha
Ehsaans nahi kal ka
Saath mere dhanji hai game pura bhalta
Khush tera beta toh fir chinta na karna
Aadha ahmedabad hai bajta toh zyada nahi
Parwah jab kuch saal mein aajayega paisa
Machata nahi artist koi city mein shor mere jesa
Chutyo ko rakh ke nahi deta
Ghiste the chappal ab joota koi takleef nahi deta
Manager aur crew pura family jesa siyaahi pure khel ka rachayta
Degree bhi ladu lekin marega nahi Jazbaa
Chote tujhe lagta mujhe numbers ka showk haan
Behind the stage dekhna kon kitna sehta
Kiska sikka hai bolta kiska danka hai bajta
Kon kiske naam pe uchalta shohrat
Kardeti hai pagal tu Beth neeche gireega ganda!!
Sangeet ka shwok toh gaano se rakhta nahi pardah
Duniya hai zaalim kuch lamho mein bharosa toote
Hum bante nahi kayar jab apne bhi gairon sa lagte
Duniya hai zaalim
Doston se zyada fans mere show pe
Sab karna haasil
Cherhon pe chamak jab idols se milte
Duniya hai zaalim kuch lamho mein bharosa toote
Hum bante nahi kayar jab apne bhi gairon sa lagte
Duniya hai zaalim
Doston se zyada fans mere show pe
Sab karna haasil
Cherhon pe chamak jab idols se milte

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar