Sota raha main hua din, main jaaga nahi Raat ka raja lee angdai par kuch taaza nahi See lee hai maine ye chaadar apne haathon se jasbaaton se Kaarigar hu, lafzon ki ye phulkari hai par khatam hai mera dhaaga kahi Na main galat na sahi Khoya gira main kahi Khatkhataya shaitan darwaaze pe mere Khola, galle lagaya maine isse kass ke Par iss baar mein bhaaga nahi Kya hai ye zindagi Ye jo chal padi Dukh main hai madhoshi Hum jeena seekhenge kabhi? Jab bhi kuch likhu main, lagti hai kyu kami si? Ghiss ghiss ke ye kalam nok faade parchhi Kahaani wo hi hai jo bachpan main suni thi Kahu apne andaaz se par main aaj kyu khaamosh Naayak main bannaa chaahu par, nalaayak ye soch Chadu main gyaan ke pahaad pe na jaane mujhko kiski khoj? Naa karu kaam main dhyaan se bhaad mein jaayein ye log Aur khudko taane maarna roz roz Kya hai ye zindagi Ye jo chal padi Dukh main hai madhoshi Hum jeena seekhenge kabhi? Kal se main shayad sambhal jaau Bolu main khudko Par kal ye mera, akkal ke baahar Samajh na mujhko Kaisi ye zidd pakkad ke bethe hai hum? Khudko hai maarte, phir khudpe hi marte hai hum Badalna chaahte hai par Kabhi na badalte hai hum Kabhi na badlenge hum