Kishore Kumar Hits

Deadbot - Saasein şarkı sözleri

Sanatçı: Deadbot

albüm: Kuch Ankahi Baatein


Anjaan khudse hi dhundhta mai khudko hi
Gaano Mai na khushi phir bhi dunia sun rahi
Kya sunte log jisse jaan paaye dard mera
Kya voh bhi gaano Mai hi khooj rahe sach mera
Ab mai bhaagu khudse dhur
Uspe gaane likhe khoob
Par mai thak raha houn mujhse
Na hai manzil ka saboot
Mujhe rukna nahi yaha
Par hai saasien rahi choot
Bhare panno mai hi khwaab
Kyuki taare saare dhur
Saasien bhi toh
(Saasien bhi toh)
Lene do na
(Lene do na)
Thak gaya houn
(Mai thak gaya houn)
Ab roone do na
(Mujhe roone do na)
Haatho mai khoon mai toh has raha yah phir bhi
Na hai sukoon jese khoya maa ko kal hi
Mere aasu ka paimana
Gaano ne hi toh hai jaana
Paane adat ban gaye hai
Unse seekha muskurana
Phir bhi gaane likh raha houn mai yaha tere liye
Bistaro pe vaade karte ki ham tere hi hai
Ham yeh jaane kal toh tu yaha par hoga nahi
Kalam ki adat jhooti kasmo se hi pad gayi hai
Par teri akho doob rahe ham
Ajeeb ahatien bhi ho rahi na kam
Joh keh rahe the zindagi dene ham aaye
Voh tode dil kesa hota yeh ajeeb sa sitam
Aur fir yeh panne roz puche ab tere liye
Bahane deta ki tu raasto pe Kho gayi hai
Mujhse kaagzo se kuch na chup pata
Toh yeh dil ke saare aasu yeh siyahi roo rahi hai
Tehrir Kho...
Dard bhi hai theek
Ghao bhi na jyada
Khoon bhari aakhe
Na cheek mai pata
Awaze hai esi dimag mai
Yeh hotoh ko kuch bhi bolna na ata
Voh lavz voh baatien
Voh shabd voh raatien
Voh gadti zameen mai
Na khata batata
Na lete raza hai
Yeh Qabr mai sab zehrile
Murde bhi bole ab jyada kuch kehne tujhe toh tu jeena cheen le
Meri hai aakhe Laal koi puche mai kesa
Toh bolu mai sab kuch theek hai
Joh karni hai baatien voh kehte nai
Toh kehte hai baatien voh karte nai
Ashqo se raatien bhi kat ti gayi
Fikar hai meri mujhe nai
Mujhe na farak hai padhta log kare kya baatien voh bhi mere peeche hi
Kitab dafnai aur shabd zameen
Hai dunia hai Puri na chaheye koi bandagi
Cheeku toh hota mai batameez
Na cheekhu hota mai mard nai
Yeh kesa zamana yeh kesi hai bedi
Mai jaan lelu inki ek saas mai...
Saasien bhi toh
(Saasien bhi toh)
Lene do na
(Lene do na)
Thak gaya houn
(Mai thak gaya houn)
Ab roone do na
(Mujhe roone do na)
Ab yeh aakhe meri dhundhti hai tujhko ho hi
Meri nighao mai hai sabse mashoor tu hi
Mai toh fir bhi kaatu raatien
Jisme tu na mere saath hai
Galtiya hai saari meri
Rab per naam par lagate
Teri yaadien mere lafzon se mehfoos hai
Haatoh mai haath phir bhi dil kitna dhur hai
Voh teri yaadon mai hi chal raha hai
Par pyaar karti mujhse tu yeh keh deti ab jhoot hai
Phir teri aakho may mai dard dekhta houn
Khudke tukde aur karke apne dukh ko lapete
Mai tujhe sametta houn
Mai toh gaano ke samundar mai akelepan ke kinare
Kagazo ki nav de rahi sahare
Aasu ban gaye hai saalo se hi dost mere
Mai toh puchu kya tu karti mujhse ulfat
Aur tu aakhe geeli karke mujhko kuch bhi na kahe
Phir ham adhure hi rahe
Kyu ham anjaan na bane
Kyu phir ham baatien bhi k...
Toh matlab yeh gaane likhne se
Yeh saari baatein karne se
Voh insaan ka ishq
Voh insaan ki mohobatt
Vapis aa jayegi tere liye
Esa lagta hai tereko
NAHI

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar