Ab bas yeh yaadein hi Teri hai saath mai Ab na ham aakho mai Hi toh hai dekhte Bas teri aadatein Leke hi bethe hai Man ho ab jitna hi Baatein na karte hai Likhte hai gaane bhi Roone se darte hai Ki koi dekh le Voh sab na jaan le Sabse chupa ke mai Karta houn yaad bhi Kar sake maaf toh Kar dena aaj hi Yeh kesi ishq ki sazaye hai Anjaan bane bethe hai Par hai jaante ek dusre ko Kya hi ab ho galat yeh pyaar gunehgar Ya yeh dar joh leke bethe ho (yeah) Qurbat hi esi ki joh kal the pure waqt mere saath hi Ab aaj na pehchane voh Itne hai sapne maine dekhe Par ab khwaabo mai bhi uski hi awazein toh Mujhe maaf kar mai ishq na kar saka Tu pass hai toh dar yaha Tu dhur ho toh yaad yaha Yeh itni saari baatein tujhse karne ko hai Ab kisko jaake bolu tu bata Mai tera toh tha par tera ho na saka Kitni ajeeb si yeh baat ki mai jaanu kya jawab hai Par voh hi na sawal puchne ko Kitna zaleel kiya usse ki voh mere chehre ko dekh ke bhi Pehchaan na sake Haan hua ishq par jab aayi voh kareeb toh Yeh man bhi dar raha hi mujhse toh Ki yeh phele bhi hua tha mere sang Toh na karu fir voh galti sab phele ki tareh Haan mujhko maaf kar yeh meri galtiya Haan aati yaad hai Mai kuch na kar saka Mai toh bas soochta Ki mujhe dekh ke Tu bhi kya soochta Ki kya mai kar raha Na mujhse ishq kar Na hi tu yaad kar Bas ek bar tu mere saath chal Tujhe mai le chalu Mere dimag mai vaha voh yaad hai Jaha hai galtiya Mujhe tu maaf kar Mujhe tu maaf kar Mai pyaar kar saka Par khudse dar raha Ki yeh joh ishq kya vohi sach tha Mujhe tu maaf kar (Mujhe tu maaf kar) Mujhe tu maaf kar Mujhe tu maaf kar Mai pyaar kar saka Par khudse dar raha Ki yeh joh ishq kya vohi sach tha Mujhe tu maaf kar Mujhe tu maaf kar