Jaha subha bhi ho Jagah bhi ho Vajah bhi ho Haan jeene ki Na dard ho Na khauf ho Na dar lage Ab Khudse hi Jaha zaruri mere saare aasu bhi ho Keh rahi joh aakhe meri sunne ko awaam bhi ho Vaha mashaqqatein mashoor na ho bas Sehne walo ko bhii hoti hai sukoon ki talab Kesa zamana hai zarurat mai zaruri hote sab Aur chaheye jab ishq fisul ka yeh rab Bazaro mai Khushi ke bechta mai gaane hi Na bik raha mai houn kahi Hai gaano mai bas dard hi Yeh gaane joh mai likhta voh tumhe na hai hasa rahe Kya hoti ab hai khushi? na jaanu kya jawab hai Sabhi joh has rahe chupa rahe hai dard hi Joh keh rahe voh theek voh toh roo rahe akele bhi Joh keh rahe voh khush unka hota kya naseeb hi Dekhni mujhe hai unki haatoh ki lakeere bhi Hasi bhi hota kya na jaanta houn mai Kya koi insaan Ya voh rab hai Kya voh zaruri Ya fir hoti latt hai Kesi hai dikhti Kya voh khoobsoorat hai Kya muskurahat ki Vohi sabab hai Kya aasuyo ka Voh deti ilaaj hai Kya voh hai sazish Ya guzarishein yehi hai Mujhe na jaan na mujhe nahi pata Falaq ke jesa ho jaha Sama voh mujhko dhundhna Na rehne ki tamanna hai Kuch pal ka loun sukoon paa Bazar mai vaha mai gam mai mere bech paau Itni daulat leke aau khuda se maa ko cheen laau Rab bhi hasne hi lage yeh paiso ki kya kameet Hai Voh itni khoobsoorat hai zameen voh na chu sake Hai gandagi zameen par jisse insaan keh diya Jaan lene ke hi baad kyu hai masroofiya Ab mai yeh Jaanta sab aakhe hi hai matlabi Jaha pe hota ishq yeh vaha hi khele khel bhi Fir tod dete sab hi bina jaane mera haal hi Aur puchte hai fir hai kaha meri muskurahat hi Jaha subha bhi ho Jagah bhi ho Vajah bhi ho Haan jeene ki Na dard ho Na khauf ho Na dar lage ab Khudse hi Khudse hi Khudse hi khudse hi