Kuch nahi hoga usko gaad ke dekhne se Kuch nahi hai uss kafan mai Tu aaj bhi vohi hai tu kal bhi vohi tha Tune khudko marke kuch nahi kara Yeh woh "Kuch Ankahi Baatein" nahi hai Yeh "akele ep" mai bhi nahi hai Mai na houn jaanta ki kar kya raha mai yaha par Mai na houn jaanta ki beh kya raha hai gaalo par Naso mai dard aur yeh panno pe hai chapta raqt Phir mai na jaanta ki likhta kya mai kagazo par Kyu na hai kat ti raatein Kya hona hai subha mai Jab sab hai karte baatein Chup rehna kyu saza hai Mai khudse dhur jaau Bhagta houn iss jagah se Ke khudko dhundh paau Jaanta houn houn khafa mai Yaha ek saas bhi hai Joh jeena na hai chahti Fir aati dhadkan hai Joh maarne na hai deti Joh maarne ke bahane dhundhte voh kayar hai Ya unke dukh hamse jyada Ki voh hamko na dikhai de Yeh raste saare pohoch te hi ek jagah hai Jah gaano mai ho dard jyada aasu bhi na ruk vah paaye Khoon, maut aur gale mai mere ho ek fanda Mai deta saasein aur mai hi toh khudki jaan leta Kya tum bhi dar rahe ho? Kya aasu rookte ho? Kya tum bhi toot te ho? Kya khudko dhundhte ho? Na khudko dhundhna galat jab puri dunia Kho gayi hai Khush kya rehna hai sahi alag kuch aakhe keh rahi hai Mai yeh jaanta ki dard leke aata waqt Mai yeh houn jaanta ki ashq leke aata ishq Mai yeh houn jaanta ghav chod dete naqsh Mai yeh bhi jaanta ki shayari hai hoti marz Mai dukh jaanta houn Hai maine dekha dard hai Mai khush ho chuka houn Yeh waqt toh alag hai Waqt ki bhi bewafai maine dekhi Kabhi mera ho hai jaata kabhi Mai na houn jaanta ki kar kya raha mai yaha par Mai na houn jaanta ki beh kya raha hai gaalo par Naso mai dard aur yeh panno pe hai chapta raqt Phir mai na jaanta ki likhta kya mai kagazo par Sab jhoot tha